Zulaam Hai Gar Na Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki DaadZulaam hai gar naZulaam hai gar na do sakhun ki daad;Qahar hai gar karo na mujhko payaar;Aapka banda aur phiroon nanga;Aap ka naukar aur khaaoon udhaar;Meri tankhwah kijeye maah ba maah;Ta na ho mujhko zindagi dushwaar;Khatam karta hoon ab dua pe kalaam;Shaairy se nahin mujhe sarokaar;Tum salaamat raho hazaar baras;Har baras ke hon din pachaas hazaar!Translation:Qahar hai gar karo: how terribleShaairy se nahin: poetic meed
Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq HaiMeri zindagi to firaaq haiMeri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahi;Wo nigah-e-shoq se door hon, rag-e-jaan se laakh qareen sahi;Hamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahein sahi;Hamein aap khinchein daar per, jo nahi koi to hum hi sahi;Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, hamein intizaar qabool hai;Wo kabi mile, wo kahin mile, wo kabi sahi, wo kahin sahi;Na ho un per jo mera bus nahi, k yeh aashqi hai hawas nahi;Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahi;Jo ho faisla wo sunaye, use hashar per na uthaye;Jo kareinge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin sahi;Useh dekhne ki jo loo lagi, to 'naseer' dekh hi leinge hum;Wo hazar aankh se door ho, wo hazar parda-nasheen sahi!Translation:Firaaq: seprationNigah-e-shoq: eager glanceRag-e-jaan: a jugular vein Sar-e-toor: mount
Meesamaane Asr Ki YeMeesamaane asr ki yMeesamaane asar ki ye bandagi achhi lagiKhaliq-e-kaunayn ko madh-e-ali achhi lagiMout se ghabraate hain aksar bashar leikin humeinShauq-e-deedar-e-ali mein maut bhi achhi lagiWaqt-e-aakhir aaye jab bari pa meri murtazaMaut ki baahon mein mujhko zindagi achhi lagiHum ghulaamaan-e-ali hain daulaton se be niazHar shahenshahi se humko qambari achhi lagiUski bakshish ke liye kaafi hai maula ko agarRazvi ye midhat saraa ki shaairi achhi lagi
Tune Ye Phul Jo ZulfonTune ye phul jo zulfoTune ye phul jo zulfon mein laga rakha haiIk diya hai jo andheron mein jala rakha haiJit le jaye koi mujhko nasibon valaZindagi ne mujhe da o pe laga rakha haiJane kab aaye koi dil mein jhankane valaIs liye main ne gireban ko khula rakha haiImtehan aur meri zabt ka tum kya logeMain ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai
Aadam Ka Jism KabAadam ka jism kaAadam ka jism kab ke anaasir se mil banaKuchh aag bach rahi thi, so aashiq ka dil banaSar garam-e-nala in dinon main bhi hoon, andleebMat aashian chaman mein mere mutsil banaJab teesha kohkan ne liya haath, tab yeh ishqBola ke apni chhati pe dharne ko sil banaJis teergi se roz hai ushaaq ka seaahShaaid usi se chehre-e-khubaan pe til banaLab zindagi mein kab mile us lab se, ai kalaalSaagar hamaari khaak ko math karke gil banaApne hunar dikha denge hum tujhko sheesha garToota hua kisi ka agar hum se dil banaSun sun ke arz-e-haal mera yaar ne kahaSauda na baaten baith ke yaan mutsil banaTranslationAndleeb = nightingalChehre-e-khubaan = beauty's facArz-e-haal = tale of wo
Ek Moamma Hai Samajhne KaEk moamma hai samajhne kEk moamma hai samajhne ka, na samjhaane kaaZindagii kaahe ko hai, khwaab hai diivaane kaa khalq kahtii hai jise dil tere diivaane kaa ek gosha hai yeh duniyaa isii viiraane kaa mukhtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta huunRaaz-e-kaunain khulaasa hai is afsaane kaa tumne dekhaa hai kabhii ghar ko badalte hue rangAao dekho na tamaasha mere gham-khaane kaaDil se ponhchii to hai aankhon men lahuu kii buundenSilsila shiishe se miltaa to hai paimaane kaaHamne chhaanii hai bohat dair-o-haram kii galiyaanKahiin paaya na thikaana tere diivaane kaHar nafs umr-e-guzishtaa ki hai mayyat faaniZindagi naam hai mar mar ke jiye jaane kaa